Thursday, May 3, 2007

ek akshar se kahaani shuru honi thi,
dekhte hi dilon ki bekarari shuru honi thi,
par ye na jaante the us waqt, ki
unhi ke saath ye zindagani poori honi thi....
dil ne jiski aarzoo ki, usi ko paaya hai,
zindagi ko hara ke, zindagi ko paaya hai,
kya koi shikwa karen, shikayat karen,
phool maange the, gulistaan ko paaya hai...
kahte hain mohabbat karten hain woh beintehaan humse,
par zaahir karne ki fursat nahin hai,
Humne apna dil-e-bayaan jo kiya to,
keh diya pyaar ko zubaan ki zaroorat nahin hai...
Zindagi mein dost mil jaaye to kya baat hai,
Usper dosti nibhaani aa jaaye to kya baat hai,
Aur Dost agar saathi ban jaaye to kya baat hai...
Jaan kar achha laga ek shayar ko, ki
ab dil-e-bayaan mein hi waqt kat jaayega..
Aarzoo thi hamesha ek shaayar dost ki,
ab dostanaa nibhaane mein hi waqt guzar jaayega...
jeene ki aarzoo thi,
par wajah na thi
saans to chal rahi thi,
par dhadkan na thi...

reh reh kar hum unhe pukaarte rahe,
bol to the par awaaz na thi....

Monday, April 30, 2007

Pyaar dhoonda karte the hum idhar udhar,
tumhi ne aake jeene ki wajah di hai.....
Socha na tha kabhi aitbaar kar sakenge tumpar,
Ab tumhi ne bharose ki ummeed dii hai....
bahrosa na woh humpe pehle kar paaye..
ummeed thi ab kar liya hoga ..
par ab bhi wohi aalam hai...
jinka deedaar karne ke liye taras rahein hon.....
unke deedaar ki ummeed se hi dil bahla liya karten hain
Socha na tha itne kushnaseeb niklenge hum, ki
Zindagi jinko maana, unhi ka saath paa lenge hum,
Khuda se ab sirf itna kahtein hain,
Shukriya...Shukriya...Shukriya!!!
Pyaar unse aisa hua ki bhool gaye saare zamaane ko,
Ab to aalam ye hai ki
woh, main aur hamaari tanhai hi baaten karten hain...
Khwaishein to Bahut thi kuchh kar dekhaane ki,
Ab to apne ko sirf sher likhte dekhten hain...
Dekhte hi woh aise samaa gaye aankhon mein, ki
Ab har lamha unhi se aankhen chaar hoti hai..

Thursday, April 26, 2007

Tounge Twister

fresh fried fish,
fish fresh fried,
fried fish fresh,
fish fried fresh

tola ram tala tol ke tel mein tul gaya,
tula hua tola tale ke tale hue tel mein tala gaya
Jab jab maanga khuda se kuchh,
tab tab woh mila hai,
Jab ek baar uske insaaf pe chhod ke dekha, to
bhar bhar ke mila hai.......

khushiyon ki saugaat

khuda se maanga karte the dua, ki
khushiyon ki saugaat mil jaaye,

Par ye na jaante the ki usne hamaare liye
khushiyon ki jannat mukarrar ki hai.....