Thursday, May 3, 2007

ek akshar se kahaani shuru honi thi,
dekhte hi dilon ki bekarari shuru honi thi,
par ye na jaante the us waqt, ki
unhi ke saath ye zindagani poori honi thi....
dil ne jiski aarzoo ki, usi ko paaya hai,
zindagi ko hara ke, zindagi ko paaya hai,
kya koi shikwa karen, shikayat karen,
phool maange the, gulistaan ko paaya hai...
kahte hain mohabbat karten hain woh beintehaan humse,
par zaahir karne ki fursat nahin hai,
Humne apna dil-e-bayaan jo kiya to,
keh diya pyaar ko zubaan ki zaroorat nahin hai...
Zindagi mein dost mil jaaye to kya baat hai,
Usper dosti nibhaani aa jaaye to kya baat hai,
Aur Dost agar saathi ban jaaye to kya baat hai...
Jaan kar achha laga ek shayar ko, ki
ab dil-e-bayaan mein hi waqt kat jaayega..
Aarzoo thi hamesha ek shaayar dost ki,
ab dostanaa nibhaane mein hi waqt guzar jaayega...
jeene ki aarzoo thi,
par wajah na thi
saans to chal rahi thi,
par dhadkan na thi...

reh reh kar hum unhe pukaarte rahe,
bol to the par awaaz na thi....

Monday, April 30, 2007

Pyaar dhoonda karte the hum idhar udhar,
tumhi ne aake jeene ki wajah di hai.....
Socha na tha kabhi aitbaar kar sakenge tumpar,
Ab tumhi ne bharose ki ummeed dii hai....